Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dil Ayubi

  • Ghazal


sare chaman ko dasht mein tabdil kar gae


saare chaman ko dasht meñ tabdīl kar ga.e
be-dard the jo ain javānī meñ mar ga.e

malbūs-e-ahl-e-hosh kā me.aar dekh kar
dīvāne be-libās daraḳhtoñ se Dar ga.e

shāyad udāsiyoñ pe taras aa gayā mirī
kal raat shahr-e-jāñ meñ farishte utar ga.e

sunte haiñ un pe nuur barastā hai aaj tak
jin vādiyoñ se ho ke tire ḳhush-nazar ga.e

ham sar-phire bhī ḳhuub the ai 'dil' ki ishq meñ
nāmūs-o-nañg-o-nām bhī qurbān kar ga.e

sare chaman ko dasht mein tabdil kar gae
be-dard the jo ain jawani mein mar gae

malbus-e-ahl-e-hosh ka mear dekh kar
diwane be-libas daraKHton se Dar gae

shayad udasiyon pe taras aa gaya meri
kal raat shahr-e-jaan mein farishte utar gae

sunte hain un pe nur barasta hai aaj tak
jin wadiyon se ho ke tere KHush-nazar gae

hum sar-phire bhi KHub the ai 'dil' ki ishq mein
namus-o-nang-o-nam bhi qurban kar gae


Source: Book : Aaina-e-Dil (Pg. 24) Author : Dil Ayubi Publication : Nazish Book Center Lahore (1995) Edition : 1995

Leave a comment

+