jaate hue nigāh idhar kar ke dekh lo
ham log phir kahāñ hameñ jī-bhar ke dekh lo
detā hai ab yahī dil-e-shorīda mashvara
jiine se tañg ho to miyāñ mar ke dekh lo
rahne kā dasht meñ bhī salīqa nahīñ gayā
yaañ bhī qarīne saare mire ghar ke dekh lo
shāhān-e-kaj-kulāh zamīñ-bos ho ga.e
tevar magar vahī haiñ mire sar ke dekh lo
sajde meñ do-jahān haiñ ai 'dil' hamāre saath
rutbe ye āstān qalandar ke dekh lo
jate hue nigah idhar kar ke dekh lo
hum log phir kahan hamein ji-bhar ke dekh lo
deta hai ab yahi dil-e-shorida mashwara
jine se tang ho to miyan mar ke dekh lo
rahne ka dasht mein bhi saliqa nahin gaya
yan bhi qarine sare mere ghar ke dekh lo
shahan-e-kaj-kulah zamin-bos ho gae
tewar magar wahi hain mere sar ke dekh lo
sajde mein do-jahan hain ai 'dil' hamare sath
rutbe ye aastan qalandar ke dekh lo
Source: Book : Aaina-e-Dil (Pg. 36) Author : Dil Ayubi Publication : Nazish Book Center Lahore (1995) Edition : 1995
Leave a comment