Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dhruv Gupt

  • Ghazal


ek bhaTki sada sa rahta hun


ek bhaTkī sadā sā rahtā huuñ
āj-kal be-pata sā rahtā huuñ

ghar mire dil meñ bhī rahā na kabhī
ghar meñ maiñ bhī zarā sā rahtā huuñ

chāñd se roz aañkh laḌtī hai
maiñ bhī chhat pe paḌā sā rahtā huuñ

koī pūchho to mudda.ā kyā hai
maiñ jo sab se ḳhafā sā rahtā huuñ

kar sako to mirī talāsh karo
in dinoñ maiñ havā sā rahtā huuñ

ek bhaTki sada sa rahta hun
aaj-kal be-pata sa rahta hun

ghar mere dil mein bhi raha na kabhi
ghar mein main bhi zara sa rahta hun

chand se roz aankh laDti hai
main bhi chhat pe paDa sa rahta hun

koi puchho to muddaa kya hai
main jo sab se KHafa sa rahta hun

kar sako to meri talash karo
in dinon main hawa sa rahta hun


Leave a comment

+