Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dhruv Gupt

  • Ghazal


hain hawaon mein talKHiyan shayad


haiñ havāoñ meñ talḳhiyāñ shāyad
āñdhiyoñ meñ ho kuchh bayāñ shāyad

lafz kho aa.e haiñ sabhī ma.anī
baat kah deñ ḳhamoshiyāñ shāyad

kitnī gahrī udāsiyāñ haiñ abhī
niiñd kuchh de tasalliyāñ shāyad

ghar meñ jismoñ kī aañch baaqī hai
aaj ujḌā hai āshiyāñ shāyad

us jagah har koī akelā hai
jis jagah haiñ bulandiyāñ shāyad

bachche uljhe haiñ sab kitāboñ meñ
muntazir hoñgī titliyāñ shāyad

rab hai uupar zamīn par duniyā
beach meñ hai bahut dhuāñ shāyad

ḳhat likheñge unheñ salīqe se
aaj kāñpeñgī uñgliyāñ shāyad

hain hawaon mein talKHiyan shayad
aandhiyon mein ho kuchh bayan shayad

lafz kho aae hain sabhi mani
baat kah den KHamoshiyan shayad

kitni gahri udasiyan hain abhi
nind kuchh de tasalliyan shayad

ghar mein jismon ki aanch baqi hai
aaj ujDa hai aashiyan shayad

us jagah har koi akela hai
jis jagah hain bulandiyan shayad

bachche uljhe hain sab kitabon mein
muntazir hongi titliyan shayad

rab hai upar zamin par duniya
beach mein hai bahut dhuan shayad

KHat likhenge unhen saliqe se
aaj kanpengi ungliyan shayad


Leave a comment

+