Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dhruv Gupt

  • Ghazal


kabhi qurbat hai fasle hain kabhi


kabhī qurbat hai fāsle haiñ kabhī
darmiyāñ apne be-mazā kyā hai

mujh se haT kar zarā sā chaltā hai
mujh meñ ik aur dūsrā kyā hai

ham ko jiinā na aa sakā varna
zindagī jashn ke sivā kyā hai

kabhi qurbat hai fasle hain kabhi
darmiyan apne be-maza kya hai

mujh se haT kar zara sa chalta hai
mujh mein ek aur dusra kya hai

hum ko jina na aa saka warna
zindagi jashn ke siwa kya hai


Leave a comment

+