Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dhruv Gupt

  • Ghazal


tanha manzar hain to kya


tanhā manzar haiñ to kyā
saat samundar haiñ to kyā

zarā sikuḌ ke so leñge
chhoTī chādar hai to kyā

chāñd sukūñ to detā hai
zad se bāhar hai to kyā

ham bhī shīshe ke na hue
har sū patthar haiñ to kyā

ham sā dil le kar aao
jism barābar hai to kyā

bijlī sab par girtī hai
merā hī ghar hai to kyā

Dagar Dagar bhaTkātī hai
dil ke andar hai to kyā

tanha manzar hain to kya
sat samundar hain to kya

zara sikuD ke so lenge
chhoTi chadar hai to kya

chand sukun to deta hai
zad se bahar hai to kya

hum bhi shishe ke na hue
har su patthar hain to kya

hum sa dil le kar aao
jism barabar hai to kya

bijli sab par girti hai
mera hi ghar hai to kya

Dagar Dagar bhaTkati hai
dil ke andar hai to kya


Leave a comment

+