Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dheerendra Singh Faiyaz

  • Ghazal


dekhte dekhte hi sal guzar jata hai


dekhte dekhte hī saal guzar jaatā hai
par tirā ġham hai ki baḌhtā hai Thahar jaatā hai

tairtī rahtī hai āñkhoñ meñ tū har shab aise
jaise dariyā meñ koī chāñd utar jaatā hai

kaun us ḳhvāb kī ta.abīr pe kartā hai yaqīñ
ḳhvāb jo niiñd se laḌtā huā mar jaatā hai

ham ne āñkhoñ kī zabānoñ pe lagā.e haiñ qufl
varna dil terī hī āvāzoñ se bhar jaatā hai

phir se duniyā kī taraf dhyān lagāyā hai magar
ḳhaak itne meñ tirā dil se asar jaatā hai

dekhte dekhte hi sal guzar jata hai
par tera gham hai ki baDhta hai Thahar jata hai

tairti rahti hai aankhon mein tu har shab aise
jaise dariya mein koi chand utar jata hai

kaun us KHwab ki tabir pe karta hai yaqin
KHwab jo nind se laDta hua mar jata hai

hum ne aankhon ki zabanon pe lagae hain qufl
warna dil teri hi aawazon se bhar jata hai

phir se duniya ki taraf dhyan lagaya hai magar
KHak itne mein tera dil se asar jata hai


Leave a comment

+