Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dheerendra Singh Faiyaz

  • Ghazal


phir wahi shaKHs mere KHwab mein aaya hoga


phir vahī shaḳhs mire ḳhvāb meñ aayā hogā
niiñd meñ us ne hī āñkhoñ ko rulāyā hogā

is amāvas meñ bhī mahtāb ugā hai ya.anī
us ne uñglī se kahīñ chāñd banāyā hogā

aur hoñThoñ ke nishāñ jal ga.e ik ik kar ke
us ne takiye tale ḳhurshīd chhupāyā hogā

thak gayā hogā so dahshat meñ haiñ saare panchhī
āsmāñ jis ne ye kandhoñ pe uThāyā hogā

muddateñ ho ga.iiñ tanqīd nahīñ karte log
kis ne ā.īnoñ ko ā.īna dikhāyā hogā

phir wahi shaKHs mere KHwab mein aaya hoga
nind mein us ne hi aankhon ko rulaya hoga

is amawas mein bhi mahtab uga hai yani
us ne ungli se kahin chand banaya hoga

aur honThon ke nishan jal gae ek ek kar ke
us ne takiye tale KHurshid chhupaya hoga

thak gaya hoga so dahshat mein hain sare panchhi
aasman jis ne ye kandhon pe uThaya hoga

muddaten ho gain tanqid nahin karte log
kis ne aainon ko aaina dikhaya hoga


Leave a comment

+