rishta hotā hai yā nahīñ hotā
beach kā rāsta nahīñ hotā
maiñ terā ham-navā nahīñ hotā
kuchh agar kaam kā nahīñ hotā
fā.ede fā.ede ke chakkar meñ
kuchh bhī to fā.eda nahīñ hotā
nāḳhudā bhī tumhīñ ḳhudā bhī tum
ab vo hotā hai yā nahīñ hotā
bevafā.ī daġhā ḳhayānat bhī
ishq meñ kuchh nayā nahīñ hotā
rishta hota hai ya nahin hota
beach ka rasta nahin hota
main tera ham-nawa nahin hota
kuchh agar kaam ka nahin hota
faede faede ke chakkar mein
kuchh bhi to faeda nahin hota
naKHuda bhi tumhin KHuda bhi tum
ab wo hota hai ya nahin hota
bewafai dagha KHayanat bhi
ishq mein kuchh naya nahin hota
Leave a comment