Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dharmendr tijori Wale Azad

  • Ghazal


kal jo apni thi ab parai hai


kal jo apnī thī ab parā.ī hai
bhūlne meñ hī kuchh bhalā.ī hai

jab se samjhe haiñ pyaar ke ma.anī
us ne sūrat nahīñ dikhā.ī hai

dhuup ḳhushbū ko bhī jalā degī
ḳhvāb ye aap kā havā.ī hai

maut bhī zindagī kā hissa hai
zindagī ik hasīñ judā.ī hai

qaid āñkhoñ meñ kar liyā jis ko
us ke hāthoñ meñ ab rihā.ī hai

āñsūo kuchh to ehtirām karo
ek arse meñ yaad aa.ī hai

kal jo apni thi ab parai hai
bhulne mein hi kuchh bhalai hai

jab se samjhe hain pyar ke mani
us ne surat nahin dikhai hai

dhup KHushbu ko bhi jala degi
KHwab ye aap ka hawai hai

maut bhi zindagi ka hissa hai
zindagi ek hasin judai hai

qaid aankhon mein kar liya jis ko
us ke hathon mein ab rihai hai

aansuo kuchh to ehtiram karo
ek arse mein yaad aai hai


Leave a comment

+