Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Devmani pandey

  • Ghazal


dil ne chaha bahut aur mila kuchh nahin


dil ne chāhā bahut aur milā kuchh nahīñ
zindagī hasratoñ ke sivā kuchh nahīñ

ishq ne ham ko sauġhāt meñ kyā diyā
zaḳhm aise ki jin kī davā kuchh nahīñ

paḌh ke dekhī kitābeñ mohabbat kī sab
āñsuoñ ke alāva milā kuchh nahīñ

har ḳhushī kā mazā ġham kī nisbat se hai
ġham nahīñ hai agar to mazā kuchh nahīñ

zindagī mujh se ab tak tū kyuuñ duur hai
darmiyāñ apne jab fāsla kuchh nahīñ

dil ne chaha bahut aur mila kuchh nahin
zindagi hasraton ke siwa kuchh nahin

ishq ne hum ko saughat mein kya diya
zaKHm aise ki jin ki dawa kuchh nahin

paDh ke dekhi kitaben mohabbat ki sab
aansuon ke alawa mila kuchh nahin

har KHushi ka maza gham ki nisbat se hai
gham nahin hai agar to maza kuchh nahin

zindagi mujh se ab tak tu kyun dur hai
darmiyan apne jab fasla kuchh nahin


Source: Book : Apna to mile koi (Pg. 5) Author : Devmani Pandey Publication : Amrit parkashan (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+