donoñ meñ kitnā farq magar donoñ kā hāsil tanhā.ī
apnoñ meñ duurī laatī hai vo shohrat ho yā rusvā.ī
jīvan ke kore kāġhaz par jiinā hogā tahrīroñ meñ
ujle pannoñ par syāhī se karnī hogī harf-ārā.ī
ham haiñ us kā hī aks magar hai biich meñ jīvan kā darpan
jab TūTegā jīvan-darpan tab zāhir hogī sachchā.ī
pahle to ḳhud se duur kiyā phir sazā sunā.ī jiine kī
jī chuke to ye farmān milā ab phir se hogī sunvā.ī
vo ḳhud meñ mukammal hai to phir kyūñkar vo ḳhud meñ rah na sakā
kyuuñ bikhar gayā zarra zarra kyuuñ sah na sakā vo tanhā.ī
donon mein kitna farq magar donon ka hasil tanhai
apnon mein duri lati hai wo shohrat ho ya ruswai
jiwan ke kore kaghaz par jina hoga tahriron mein
ujle pannon par syahi se karni hogi harf-arai
hum hain us ka hi aks magar hai bich mein jiwan ka darpan
jab TuTega jiwan-darpan tab zahir hogi sachchai
pahle to KHud se dur kiya phir saza sunai jine ki
ji chuke to ye farman mila ab phir se hogi sunwai
wo KHud mein mukammal hai to phir kyunkar wo KHud mein rah na saka
kyun bikhar gaya zarra zarra kyun sah na saka wo tanhai
Leave a comment