Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Deepti Mishra

  • Ghazal


ajab kashmakash hai ajab hai kashakash ye kya bich mein hai hamare tumhaare


ajab kashmakash hai ajab hai kashākash ye kyā biich meñ hai hamāre tumhāre
zarūrat zarūrat zarūrat zarūrat zarūrat kī ḳhātir marāsim haiñ saare

haiñ chāroñ taraf hī bahut log lekin haqīqat meñ koī bhī apnā nahīñ hai
dikhāvā dikhāvā sabhī kuchh dikhāvā dikhāve meñ jiite haiñ saare ke saare

bulandī pe jin ko bhī dekhā ye paayā sabhī aasrā DhūñDte phir rahe haiñ
kise sarparastī ke qābil samajhiye jiye jā rahe haiñ ḳhud apne sahāre

sabhī apnī apnī kahe jā rahe haiñ hameñ ham se chhīne liye jā rahe haiñ
hameñ apnī ḳhātir bhī rahne do thoḌā nahīñ koī apnā sivā ab hamāre

hameñ apnī zad meñ hī rahnā paḌegā ḳhudī ko ḳhudī meñ Dubonā paḌegā
na aape se bāhar tū aanā samundar samundar ko samjhā rahe haiñ kināre

faqat dūriyoñ meñ hī saarī kashish hai ki nazdīkiyoñ se bharam TūTte haiñ
falak pe chamaknā hai qismat hamārī zamīñ se ye kahte haiñ TuuTe sitāre

ye jhūTe se rishte ye farzī se naate kahāñ tak nibhā.eñ kahāñ tak nibhā.eñ
bahut ho chukā bas bahut ho chukā ab koī to baḌhe ye makhoTe utāre

ajab kashmakash hai ajab hai kashakash ye kya bich mein hai hamare tumhaare
zarurat zarurat zarurat zarurat zarurat ki KHatir marasim hain sare

hain chaaron taraf hi bahut log lekin haqiqat mein koi bhi apna nahin hai
dikhawa dikhawa sabhi kuchh dikhawa dikhawe mein jite hain sare ke sare

bulandi pe jin ko bhi dekha ye paya sabhi aasra DhunDte phir rahe hain
kise sarparasti ke qabil samajhiye jiye ja rahe hain KHud apne sahaare

sabhi apni apni kahe ja rahe hain hamein hum se chhine liye ja rahe hain
hamein apni KHatir bhi rahne do thoDa nahin koi apna siwa ab hamare

hamein apni zad mein hi rahna paDega KHudi ko KHudi mein Dubona paDega
na aape se bahar tu aana samundar samundar ko samjha rahe hain kinare

faqat duriyon mein hi sari kashish hai ki nazdikiyon se bharam TuTte hain
falak pe chamakna hai qismat hamari zamin se ye kahte hain TuTe sitare

ye jhuTe se rishte ye farzi se nate kahan tak nibhaen kahan tak nibhaen
bahut ho chuka bas bahut ho chuka ab koi to baDhe ye makhoTe utare


Leave a comment

+