Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Deepak Sharma Deep

  • Ghazal


aasani mein jine mein to KHarcha lagta hai


āsānī meñ jiine meñ to ḳharcha lagtā hai
begārī meñ jiinā kitnā sastā lagtā hai

sāgar meñ jā baiThā ho to khārā lagtā hai
dariyā ḳhālis dariyā ho to mīThā lagtā hai

paas rahe to DaañT DaañT kar duur bhagāte the
aur batāo duurī hai to kaisā lagtā hai

un se milne-julne vaale naamī sho.arā haiñ
apne bas kī baat nahīñ hai aisā lagtā hai

ās-paḌos mil jaa.e jo pardesoñ meñ 'dīp'
dushman hī chāhe ho koī apnā lagtā hai

aasani mein jine mein to KHarcha lagta hai
begari mein jina kitna sasta lagta hai

sagar mein ja baiTha ho to khaara lagta hai
dariya KHalis dariya ho to miTha lagta hai

pas rahe to DanT DanT kar dur bhagate the
aur batao duri hai to kaisa lagta hai

un se milne-julne wale nami shoara hain
apne bas ki baat nahin hai aisa lagta hai

aas-paDos mil jae jo pardeson mein 'dip'
dushman hi chahe ho koi apna lagta hai


Leave a comment

+