Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Deepak Sharma Deep

  • Ghazal


manoge ek baat kaho to bolun main


mānoge ik baat kaho to bolūñ maiñ
hone ko hai raat kaho to bolūñ maiñ

pāñch baje hī merī baarī thī thī nā
hue haiñ paune saat kaho to bolūñ maiñ

buuñd buuñd meñ ḳhuun utar aayā dekho
kaisī hai barsāt kaho to bolūñ maiñ

goyā aisā khel nahīñ hai duniyā meñ
shah meñ baiThī maat kaho to bolūñ maiñ

insāñ ho to insāñ rahnā sīkho aur
gandī gandī baat kaho to bolūñ maiñ

kaale kartab kaale dhandhe vaale log
pūchh rahe haiñ zaat kaho to bolūñ maiñ

keval āñteñ TuuT rahī haiñ baaqī 'dīp'
achchhe haiñ hālāt kaho to bolūñ maiñ

manoge ek baat kaho to bolun main
hone ko hai raat kaho to bolun main

panch baje hi meri bari thi thi na
hue hain paune sat kaho to bolun main

bund bund mein KHun utar aaya dekho
kaisi hai barsat kaho to bolun main

goya aisa khel nahin hai duniya mein
shah mein baiThi mat kaho to bolun main

insan ho to insan rahna sikho aur
gandi gandi baat kaho to bolun main

kale kartab kale dhandhe wale log
puchh rahe hain zat kaho to bolun main

kewal aanten TuT rahi hain baqi 'dip'
achchhe hain haalat kaho to bolun main


Leave a comment

+