Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Deepak Sharma Deep

  • Ghazal


aaj maine gunah kar Dala


aaj maiñ ne gunāh kar Daalā
aah pe vāh-vāh kar Daalā

ḳhair hotā nahīñ thā ham se bhī
ḳhair ham ne nibāh kar Daalā

yaar manzil thī mere pairoñ meñ
rahnumāoñ ne raah kar Daalā

saañp Dastā nahīñ bhalā kaise
haath maiñ ne hī chaah kar Daalā

tum ne pūchhā nahīñ bhī honā hai
ek dam se tabāh kar Daalā

aaj main ne gunah kar Dala
aah pe wah-wah kar Dala

KHair hota nahin tha hum se bhi
KHair hum ne nibah kar Dala

yar manzil thi mere pairon mein
rahnumaon ne rah kar Dala

sanp Dasta nahin bhala kaise
hath main ne hi chah kar Dala

tum ne puchha nahin bhi hona hai
ek dam se tabah kar Dala


Leave a comment

+