aap meñ kyūñkar rahe koī ye sāmāñ dekh kar
sham-e-ismat ko bharī mahfil meñ uryāñ dekh kar
dil ko bahlāte ho kyā kyā ārzū-e-ḳhām se
amr-e-nā-mumkin meñ goyā rañg-e-imkāñ dekh kar
kyā ajab hai bhuul jaa.eñ ahl-e-dil apnā bhī dard
husn-e-mastāna ko āḳhir meñ pashīmāñ dekh kar
DhūñDte phirte ho ab TuuTe hue dil meñ panāh
dard se ḳhālī dil-e-gabr-o-musalmāñ dekh kar
dil jalā kar vādi-e-ġhurbat ko raushan kar chale
ḳhuub sūjhī jalva-e-shām-e-ġharībāñ dekh kar
imtiyāz-e-sūrat-o-ma.anī se begāna huā
aa.ine ko aa.ina hairāñ ko hairāñ dekh kar
pairahan meñ kyā samā saktā habāb-e-jāñ-ba-lab
hasti-e-mauhūm kā ḳhvāb-e-pareshāñ dekh kar
sabr karnā saḳht mushkil hai taḌapnā sahl hai
apne bas kā kaam kar letā huuñ āsāñ dekh kar
aur kyā hotī 'yagānā' dard-e-isyāñ kī davā
kyā ġhazal yaad aa.ī vallāh fard-e-isyāñ dekh kar
aap mein kyunkar rahe koi ye saman dekh kar
sham-e-ismat ko bhari mahfil mein uryan dekh kar
dil ko bahlate ho kya kya aarzu-e-KHam se
amr-e-na-mumkin mein goya rang-e-imkan dekh kar
kya ajab hai bhul jaen ahl-e-dil apna bhi dard
husn-e-mastana ko aaKHir mein pashiman dekh kar
DhunDte phirte ho ab TuTe hue dil mein panah
dard se KHali dil-e-gabr-o-musalman dekh kar
dil jala kar wadi-e-ghurbat ko raushan kar chale
KHub sujhi jalwa-e-sham-e-ghariban dekh kar
imtiyaz-e-surat-o-mani se begana hua
aaine ko aaina hairan ko hairan dekh kar
pairahan mein kya sama sakta habab-e-jaan-ba-lab
hasti-e-mauhum ka KHwab-e-pareshan dekh kar
sabr karna saKHt mushkil hai taDapna sahl hai
apne bas ka kaam kar leta hun aasan dekh kar
aur kya hoti 'yagana' dard-e-isyan ki dawa
kya ghazal yaad aai wallah fard-e-isyan dekh kar
Leave a comment