Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Deepak Sharma Deep

  • Ghazal


muTThi mein do-chaar nahin


muTThī meñ do-chār nahīñ
koī terā yaar nahīñ

yuuñ hī gale lagā.egā
aisā to sansār nahīñ

sachchī bāteñ likhtā ho
koī bhī aḳhbār nahīñ

kahtā huuñ so kartā huuñ
bhaa.ī maiñ sarkār nahīñ

apnī raah banāo ḳhud
yuuñ to beḌā paar nahīñ

pūchh pūchh kar māreñge
kah do maiñ bīmār nahīñ

chalo tavā.if ġhāfil hai
ham to izzat-dār nahīñ

maanā ki bekār haiñ 'dīp'
itne bhī bekār nahīñ

muTThi mein do-chaar nahin
koi tera yar nahin

yun hi gale lagaega
aisa to sansar nahin

sachchi baaten likhta ho
koi bhi aKHbar nahin

kahta hun so karta hun
bhai main sarkar nahin

apni rah banao KHud
yun to beDa par nahin

puchh puchh kar marenge
kah do main bimar nahin

chalo tawaif ghafil hai
hum to izzat-dar nahin

mana ki bekar hain 'dip'
itne bhi bekar nahin


Leave a comment

+