Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Deepak Purohit

  • Ghazal


to kya rabta phir KHuda ka bashar se


to kyā rābta phir ḳhudā kā bashar se
ta.alluq nahīñ jab duā kā asar se

jo pūchhā havā se kyuuñ mahkī huī ho
kahā us ne aa.ī huuñ ho kar udhar se

rah-e-ishq dushvār hai kis qadar ye
kabhī pūchh dekho to mujh dar-ba-dar se

yuuñ mahv-e-safar huuñ tirī justujū meñ
nazar merī aage hai shams-o-qamar se

rahā be-ḳhabar ahl-e-ġhurbat ke ġham se
so ḳhud gir rahā huuñ maiñ apnī nazar se

ki maañ ḳhvāb meñ māthā sahlā rahī thī
Darūñ kyā maiñ ab bad-duā bad-nazar se

to kya rabta phir KHuda ka bashar se
talluq nahin jab dua ka asar se

jo puchha hawa se kyun mahki hui ho
kaha us ne aai hun ho kar udhar se

rah-e-ishq dushwar hai kis qadar ye
kabhi puchh dekho to mujh dar-ba-dar se

yun mahw-e-safar hun teri justuju mein
nazar meri aage hai shams-o-qamar se

raha be-KHabar ahl-e-ghurbat ke gham se
so KHud gir raha hun main apni nazar se

ki man KHwab mein matha sahla rahi thi
Darun kya main ab bad-dua bad-nazar se


Leave a comment

+