Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Davarka Das Shola

  • Ghazal


meri be-qarari meri aah-o-zari ye wahshat nahin hai to phir aur kya hai


mirī be-qarārī mirī āh-o-zārī ye vahshat nahīñ hai to phir aur kyā hai
pareshāñ to rahnā magar kuchh na kahnā mohabbat nahīñ hai to phir aur kyā hai

ġham-e-zindagī nāla-e-sub.h-gāhī mire shaiḳh sāhab kī vaahī tabāhī
agar un ke hote vajūd-e-ilāhī haqīqat nahīñ hai to phir aur kyā hai

tirī ḳhud-pasandī mirī vaz.a-dārī tirī be-niyāzī mirī dost-dārī
junūn-e-muravvat ba-har-rañg taarī musībat nahīñ hai to phir aur kyā hai

ġharīboñ ko bad-hāl-o-majbūr rakhnā unheñ fikrmand aur ranjūr rakhnā
unheñ apnā kahnā magar duur rakhnā ye hikmat nahīñ hai to phir aur kyā hai

tirī raah meñ har qadam jaan denā musībat bhī aa.e to sar apne lenā
mohabbat kī kashtī ba-har-hāl khenā rifāqat nahīñ hai to phir aur kyā hai

meri be-qarari meri aah-o-zari ye wahshat nahin hai to phir aur kya hai
pareshan to rahna magar kuchh na kahna mohabbat nahin hai to phir aur kya hai

gham-e-zindagi nala-e-subh-gahi mere shaiKH sahab ki wahi tabahi
agar un ke hote wajud-e-ilahi haqiqat nahin hai to phir aur kya hai

teri KHud-pasandi meri waza-dari teri be-niyazi meri dost-dari
junun-e-murawwat ba-har-rang tari musibat nahin hai to phir aur kya hai

gharibon ko bad-haal-o-majbur rakhna unhen fikrmand aur ranjur rakhna
unhen apna kahna magar dur rakhna ye hikmat nahin hai to phir aur kya hai

teri rah mein har qadam jaan dena musibat bhi aae to sar apne lena
mohabbat ki kashti ba-har-haal khena rifaqat nahin hai to phir aur kya hai


Source: Shola-Zaar

Leave a comment

+