Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Daur Afridi

  • Ghazal


kaun hai uske bankpan ki tarah


kaun hai us ke bāñkpan kī tarah
husn hai husn-e-anjuman kī tarah

maiñ ne maḳhmūr us ko dekhā hai
raat jaagī huī dulhan kī tarah

jaage jaage tire badan ke ḳhutūt
khil-khilāte hue chaman kī tarah

ik mire chāñd ke na hone se
chāñdnī raat hai kafan kī tarah

ishq shā.ista-e-junūñ niklā
tere māthe kī ik shikan kī tarah

koī tārīḳh-e-ishq dohrā duuñ
zindagānī hai kohkan kī tarah

koī ban-Than ke ghar se niklā hai
zindagī ke hasīñ chalan kī tarah

pairahan aur aise unvāñ se
rañg-o-gulhā-e-pairahan kī tarah

kaisī vīrāniyāñ meñ 'daur' yahāñ
zindagī hai ujaaḌ ban kī tarah

kaun hai us ke bankpan ki tarah
husn hai husn-e-anjuman ki tarah

main ne maKHmur us ko dekha hai
raat jagi hui dulhan ki tarah

jage jage tere badan ke KHutut
khil-khilate hue chaman ki tarah

ek mere chand ke na hone se
chandni raat hai kafan ki tarah

ishq shaista-e-junun nikla
tere mathe ki ek shikan ki tarah

koi tariKH-e-ishq dohra dun
zindagani hai kohkan ki tarah

koi ban-Than ke ghar se nikla hai
zindagi ke hasin chalan ki tarah

pairahan aur aise unwan se
rang-o-gulha-e-pairahan ki tarah

kaisi viraniyan mein 'daur' yahan
zindagi hai ujaD ban ki tarah


Source:

Leave a comment

+