Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yagana Changezi

  • Ghazal


aah-e-bimar kargar na hui


āh-e-bīmār kārgar na huī
charḳh kāñpā magar sahar na huī

sub.h-e-mahshar huī shab-e-tārīk
sūrat-e-yār jalva-gar na huī

shab-e-ummīd kaT ga.ī lekin
zindagī apnī muḳhtasar na huī

duur se aaj un ko dekh liyā
dil ko taskīñ huī magar na huī

āñkhoñ āñkhoñ meñ le liyā va.ada
kānoñ-kān ek ko ḳhabar na huī

uf rī chashm-e-itāb uf re jalāl
barq-e-sozāñ huī nazar na huī

fikr-e-anjām-o-hasrat-e-āġhāz
do-ghaḌī chain se basar na huī

khulne vaalā nahīñ dar-e-tauba
fikr-e-anjām vaqt par na huī

aisā ronā bhī koī ronā hai
āstīn āñsuoñ se tar na huī

haT ke bālīñ se log rote haiñ
jaise bīmār ko ḳhabar na huī

luT gayā saarā kārvāñ adam
ek ko ek kī ḳhabar na huī

nīm-jāñ chhoḌ kar chalā qātil
nigah-e-'yās' kārgar na huī

aah-e-bimar kargar na hui
charKH kanpa magar sahar na hui

subh-e-mahshar hui shab-e-tarik
surat-e-yar jalwa-gar na hui

shab-e-ummid kaT gai lekin
zindagi apni muKHtasar na hui

dur se aaj un ko dekh liya
dil ko taskin hui magar na hui

aankhon aankhon mein le liya wada
kanon-kan ek ko KHabar na hui

uf ri chashm-e-itab uf re jalal
barq-e-sozan hui nazar na hui

fikr-e-anjam-o-hasrat-e-aghaz
do-ghaDi chain se basar na hui

khulne wala nahin dar-e-tauba
fikr-e-anjam waqt par na hui

aisa rona bhi koi rona hai
aastin aansuon se tar na hui

haT ke baalin se log rote hain
jaise bimar ko KHabar na hui

luT gaya sara karwan adam
ek ko ek ki KHabar na hui

nim-jaan chhoD kar chala qatil
nigah-e-'yas' kargar na hui


Source: Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 296) Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005) Edition : 2005

Leave a comment

+