Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Daur Afridi

  • Ghazal


meri tabahiyon pe koi muskura diya


merī tabāhiyoñ pe koī muskurā diyā
goyā kisī ne kuchh to mujhe aasrā diyā

saare jahāñ pe mujh ko nahīñ dastaras magar
saare jahāñ ko kis ne mirā dil banā diyā

ai jān-e-jāñ ki yaad tirī aa ke rah ga.ī
jaise kisī ne naġhma kahīñ gungunā diyā

lahroñ kī lai pe giit tirā gaañv aa bhī jā
āñkhoñ ne terī yaad meñ dariyā bahā diyā

pahlī sī vo hikāyat-e-shām-o-sahar nahīñ
shāyad kisī ne 'daur' tujhe kuchh bhulā diyā

meri tabahiyon pe koi muskura diya
goya kisi ne kuchh to mujhe aasra diya

sare jahan pe mujh ko nahin dastaras magar
sare jahan ko kis ne mera dil bana diya

ai jaan-e-jaan ki yaad teri aa ke rah gai
jaise kisi ne naghma kahin gunguna diya

lahron ki lai pe git tera ganw aa bhi ja
aankhon ne teri yaad mein dariya baha diya

pahli si wo hikayat-e-sham-o-sahar nahin
shayad kisi ne 'daur' tujhe kuchh bhula diya


Source:

Leave a comment

+