us shakar-lab kā maiñ ḳhayālī huuñ
is sabab shakkarīñ-maqālī huuñ
jab suuñ terī bhuvāñ kī bait kahā
tab suuñ maiñ sānī-e-hilālī huuñ
dil nahīñ tujh ḳhayāl suuñ ḳhālī
is sabab sūrat-e-ḳhayālī huuñ
kyuuñ nahīñ mujh shikast meñ āvāz
kyā magar kāsa-e-sifālī huuñ
mujh meñ iz.hār-e-qāl niiñ hargiz
bas-ki maiñ āshiqāñ meñ haalī huuñ
tujh kaf-e-pā kī intizārī meñ
farsh hone kuuñ naqsh-e-qālī huuñ
kaañ hai is vaqt meñ 'valī' 'dā.ūd'
jo kahūñ maiñ suḳhan kā vaalī huuñ
us shakar-lab ka main KHayali hun
is sabab shakkarin-maqali hun
jab sun teri bhuwan ki bait kaha
tab sun main sani-e-hilali hun
dil nahin tujh KHayal sun KHali
is sabab surat-e-KHayali hun
kyun nahin mujh shikast mein aawaz
kya magar kasa-e-sifali hun
mujh mein izhaar-e-qal nin hargiz
bas-ki main aashiqan mein haali hun
tujh kaf-e-pa ki intizari mein
farsh hone kun naqsh-e-qali hun
kan hai is waqt mein 'wali' 'daud'
jo kahun main suKHan ka wali hun
Source: Deewan-e-Daud Aurangabadi
Leave a comment