Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Daud Aurangabadi

  • Ghazal


sina safi sun misl-e-darpan kar


siina saafī suuñ misl-e-darpan kar
sham-e-fānūs dil kī raushan kar

yaad kar ke ḳhayāl gul-rū kā
dasht-e-dil meñ bahār-e-gulshan kar

gar nahīñ sub.ha haath meñ har vaqt
dāna-e-dam suuñ piv kī simran kar

garche haa.el hai parda-e-ġhaflat
dīda-e-dil kuuñ khol rauzan kar

aib-poshī kuuñ ḳhalq kī 'dā.ūd'
chashm setī palak kuuñ sozan kar

sina safi sun misl-e-darpan kar
sham-e-fanus dil ki raushan kar

yaad kar ke KHayal gul-ru ka
dasht-e-dil mein bahaar-e-gulshan kar

gar nahin subha hath mein har waqt
dana-e-dam sun piw ki simran kar

garche hael hai parda-e-ghaflat
dida-e-dil kun khol rauzan kar

aib-poshi kun KHalq ki 'daud'
chashm seti palak kun sozan kar


Source: Deewan-e-Daud Aurangabadi

Leave a comment

+