Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Daud Aurangabadi

  • Ghazal


dilbar kun itab KHub hai KHub


dilbar kuuñ itaab ḳhuub hai ḳhuub
ushshāq kuuñ taab ḳhuub hai ḳhuub

tahsīl-e-ulūm-e-ishq karne
tujh mukh kī kitāb ḳhuub hai ḳhuub

niiñ tere araq misāl-e-ḳhushbū
har chand gulāb ḳhuub hai ḳhuub

jiyūñ matl.a-e-āftāb-e-tābāñ
tujh mukh pe naqāb ḳhuub hai ḳhuub

ushshāq agar hai mahram-e-rāz
dilbar kuuñ hijāb ḳhuub hai ḳhuub

lā sāġhar-e-mai shitāb saaqī
bārān-e-sahāb ḳhuub hai ḳhuub

'dā.ūd' apas suuñ hote behosh
āshiq kuuñ sharāb ḳhuub hai ḳhuub

dilbar kun itab KHub hai KHub
ushshaq kun tab KHub hai KHub

tahsil-e-ulum-e-ishq karne
tujh mukh ki kitab KHub hai KHub

nin tere araq misal-e-KHushbu
har chand gulab KHub hai KHub

jiyun matla-e-aftab-e-taban
tujh mukh pe naqab KHub hai KHub

ushshaq agar hai mahram-e-raaz
dilbar kun hijab KHub hai KHub

la saghar-e-mai shitab saqi
baran-e-sahab KHub hai KHub

'daud' apas sun hote behosh
aashiq kun sharab KHub hai KHub


Source: Deewan-e-Daud Aurangabadi

Leave a comment

+