gulshan-e-jag meñ zarā rang-e-mohabbat niiñ hai
bulbul-e-dil kuuñ kisī saath ab ulfat niiñ hai
āshnā.ī setī mardum ke huuñ az bas bezār
ruḳh-e-darpan kī taraf chashm kuuñ raġhbat niiñ hai
kyā ajab hai jo diyā jaan ko yakbār patañg
tā-sahar sham.a kuuñ jalne setī fursat niiñ hai
kyuuñ garebāñ kuuñ kiyā chaak zi-sar-tā-dāmāñ
gul kuuñ bulbul suuñ agar tarz-e-muravvat niiñ hai
mujh kuuñ bāvar nahīñ paiġhām-e-zabānī qāsid
kyā sabab hai ki tire haath kitābat niiñ hai
muntaḳhab kar ke varaq dil pe likhe haiñ ahbāb
garche zāhir meñ mire sher kī shohrat niiñ hai
nā-tavānī satī barjā hai alāmat na karo
rañg-e-'dā.ūd' kuuñ parvāz kī tāqat niiñ hai
gulshan-e-jag mein zara rang-e-mohabbat nin hai
bulbul-e-dil kun kisi sath ab ulfat nin hai
aashnai seti mardum ke hun az bas bezar
ruKH-e-darpan ki taraf chashm kun raghbat nin hai
kya ajab hai jo diya jaan ko yakbar patang
ta-sahar shama kun jalne seti fursat nin hai
kyun gareban kun kiya chaak zi-sar-ta-daman
gul kun bulbul sun agar tarz-e-murawwat nin hai
mujh kun bawar nahin paigham-e-zabani qasid
kya sabab hai ki tere hath kitabat nin hai
muntaKHab kar ke waraq dil pe likhe hain ahbab
garche zahir mein mere sher ki shohrat nin hai
na-tawani sati barja hai alamat na karo
rang-e-'daud' kun parwaz ki taqat nin hai
Source: Daood Aurangabadi
Leave a comment