Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Daud Aurangabadi

  • Ghazal


dil kun dildar ke niyaz kare


dil kuuñ dildār ke niyāz kare
tan kuuñ ārām-o-sukh suuñ baaz kare

hue tab rāg-e-ishq suuñ āgāh
rag-e-jāñ jab ki tār-e-sāz kare

is suḳhan kā ajab hai afsāna
jo sune us kuuñ ahl-e-rāz kare

said karne ke ta.iiñ kabūtar-e-ishq
tā.ir-e-dil misāl-e-bāz kare

harf-e-haq par agar hai dil sābit
misl-e-mansūr sar niyāz kare

āshiqāñ kuuñ niyāz hai lāzim
nāznīñ gar adā suuñ naaz kare

sho.ala-e-ishq us pe hue raushan
sham.a saañ dil kuuñ jo gudāz kare

pahuñchne ilm kuuñ haqīqat ke
sair az nusḳha-e-majāz kare

koī us sarv-qad kuuñ jā bolo
dars dikhlā ke sarfarāz kare

khol kar zulf-e-ambarīñ yak-bār
rishta-e-shauq kuuñ darāz kare

jo paḌhe tere sher kuuñ 'dā.ūd'
āḳhirash dil kuuñ ishq-bāz kare

dil kun dildar ke niyaz kare
tan kun aaram-o-sukh sun baz kare

hue tab rag-e-ishq sun aagah
rag-e-jaan jab ki tar-e-saz kare

is suKHan ka ajab hai afsana
jo sune us kun ahl-e-raaz kare

said karne ke tain kabutar-e-ishq
tair-e-dil misal-e-baz kare

harf-e-haq par agar hai dil sabit
misl-e-mansur sar niyaz kare

aashiqan kun niyaz hai lazim
naznin gar ada sun naz kare

shoala-e-ishq us pe hue raushan
shama san dil kun jo gudaz kare

pahunchne ilm kun haqiqat ke
sair az nusKHa-e-majaz kare

koi us sarw-qad kun ja bolo
dars dikhla ke sarfaraaz kare

khol kar zulf-e-ambarin yak-bar
rishta-e-shauq kun daraaz kare

jo paDhe tere sher kun 'daud'
aaKHirash dil kun ishq-baz kare


Source: Deewan-e-Daud Aurangabadi

Leave a comment

+