Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Daud Aurangabadi

  • Ghazal


jab pari-ru hijab karte hain


jab parī-rū hijāb karte haiñ
dil ke darpan kuuñ aab karte haiñ

gardish-e-chashm kā dikhā yak daur
ham kuuñ mast-e-sharāb karte haiñ

ātish-e-ishq kī agan suuñ jalā
āshiqāñ kuuñ kabāb karte haiñ

taab dikhlā jamāl-e-raushan kā
aarsī ġharq-e-āb karte haiñ

bait-e-abrū pe til suuñ kājal ke
nuqta-e-intiḳhāb karte haiñ

araq-e-gul-ruḳhāñ ko dekh ushshāq
mail itr-e-gulāb karte haiñ

dekh us ke hinā kuuñ mardum-e-chashm
ḳhūn-e-dil suuñ ḳhizāb karte haiñ

sun suḳhan-dāñ tirī ġhazal 'dā.ūd'
āfrīñ kar ḳhitāb karte haiñ

jab pari-ru hijab karte hain
dil ke darpan kun aab karte hain

gardish-e-chashm ka dikha yak daur
hum kun mast-e-sharab karte hain

aatish-e-ishq ki agan sun jala
aashiqan kun kabab karte hain

tab dikhla jamal-e-raushan ka
aarsi gharq-e-ab karte hain

bait-e-abru pe til sun kajal ke
nuqta-e-intiKHab karte hain

araq-e-gul-ruKHan ko dekh ushshaq
mail itr-e-gulab karte hain

dekh us ke hina kun mardum-e-chashm
KHun-e-dil sun KHizab karte hain

sun suKHan-dan teri ghazal 'daud'
aafrin kar KHitab karte hain


Source: Deewan-e-Daud Aurangabadi

Leave a comment

+