Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yagana Changezi

  • Ghazal


lipaTti hai bahut yaad-e-watan jab daman-e-dil se


lipaTtī hai bahut yād-e-vatan jab dāman-e-dil se
palaT kar ik salām-e-shauq kar letā huuñ manzil se

nazar aa.e jab āsār-e-judā.ī rañg-e-mahfil se
nigāh-e-'yās' begāna huī yārān-e-yak-dil se

ubharne ke nahīñ bahr-e-fanā meñ Dūbne vaale
dur-e-maqsūd hī ġham hai to phir kyā kaam sāhil se

tasavvur lāla-o-gul kā ḳhizāñ meñ bhī nahīñ miTtā
nigāh-e-shauq vābasta hai ab tak naqsh-e-bātil se

nahīñ ma.alūm kyā lazzat uThā.ī hai asīrī meñ
dil-e-vahshī phaḌak uThtā hai āvāz-e-salāsil se

kisī shai meñ na hogī bāda-e-irfāñ kī gunjā.ish
laḌā le sāġhar-e-jam ko bhī koī shīsha-e-dil se

tasavvur ne dikhāyā shāhid-e-maqsūd kā jalva
utar aa.ī hai lailā sar-zamīn-e-dil pe mahmil se

rahegī chaar dīvār-e-anāsir darmiyāñ kab tak
uThegā zalzala ik din isī baiThe hue dil se

kahāñ tak parda-e-fānūs se sar kī balā Taltī
azal se laag thī bād-e-fanā ko sham-e-mahfil se

yahīñ se sair kar lo 'yās' itnī duur kyuuñ jaao
adam ābād kar DāñDā milā hai kū-e-qātil se

lipaTti hai bahut yaad-e-watan jab daman-e-dil se
palaT kar ek salam-e-shauq kar leta hun manzil se

nazar aae jab aasar-e-judai rang-e-mahfil se
nigah-e-'yas' begana hui yaran-e-yak-dil se

ubharne ke nahin bahr-e-fana mein Dubne wale
dur-e-maqsud hi gham hai to phir kya kaam sahil se

tasawwur lala-o-gul ka KHizan mein bhi nahin miTta
nigah-e-shauq wabasta hai ab tak naqsh-e-baatil se

nahin malum kya lazzat uThai hai asiri mein
dil-e-wahshi phaDak uThta hai aawaz-e-salasil se

kisi shai mein na hogi baada-e-irfan ki gunjaish
laDa le saghar-e-jam ko bhi koi shisha-e-dil se

tasawwur ne dikhaya shahid-e-maqsud ka jalwa
utar aai hai laila sar-zamin-e-dil pe mahmil se

rahegi chaar diwar-e-anasir darmiyan kab tak
uThega zalzala ek din isi baiThe hue dil se

kahan tak parda-e-fanus se sar ki bala Talti
azal se lag thi baad-e-fana ko sham-e-mahfil se

yahin se sair kar lo 'yas' itni dur kyun jao
adam aabaad kar DanDa mila hai ku-e-qatil se


Source: Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 286) Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005) Edition : 2005

Leave a comment

+