Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Daood Mohsin

  • Ghazal


ab bhi apna KHayal rakkha hai


ab bhī apnā ḳhayāl rakkhā hai
ham ne īmāñ sambhāl rakkhā hai

nūr-e-maulā nahīñ to kyā hai jahāñ
ḳhud ko har shai meñ Dhaal rakkhā hai

gum huā kab kā bhiiḌ meñ insāñ
shahr saarā khañgāl rakkhā hai

hai ye dīvāngī ki ma.asūmī
ek tūfān paal rakkhā hai

jism kī TūTtī fasīloñ meñ
ham ne insāñ bahāl rakkhā hai

ai ajal chaav se bahut ham ne
naam terā visāl rakkhā hai

dekheñ 'mohsin' javāb kyā aa.e
un ke aage savāl rakkhā hai

ab bhi apna KHayal rakkha hai
hum ne iman sambhaal rakkha hai

nur-e-maula nahin to kya hai jahan
KHud ko har shai mein Dhaal rakkha hai

gum hua kab ka bhiD mein insan
shahr sara khangal rakkha hai

hai ye diwangi ki masumi
ek tufan pal rakkha hai

jism ki TuTti fasilon mein
hum ne insan bahaal rakkha hai

ai ajal chaw se bahut hum ne
nam tera visal rakkha hai

dekhen 'mohsin' jawab kya aae
un ke aage sawal rakkha hai


Leave a comment

+