rahe duniyā meñ mahkūm-e-dil-e-be-mudda.ā ho kar
ḳhushā-anjām uTThe bhī to mahrūm-e-duā ho kar
vatan ko chhoḌ kar jis sar-e-zamīñ ko maiñ ne izzat dī
vahī ab ḳhuun kī pyāsī huī hai karbalā ho kar
batāo aise bande par hañsī aa.e ki ġhaiz aa.e
duā māñge musībat meñ jo qasdan mubtalā ho kar
khulā āḳhir fareb-e-mai chalā jab dard kā sāġhar
bañdhā zor-e-ḳhumār andesha-e-roz-e-jazā ho kar
nigāh-e-'yās' hī goyā dobāra zindagī paa.ī
jo chauñkā ḳhvāb-e-ġhaflat ke maze se āshnā ho kar
rahe duniya mein mahkum-e-dil-e-be-muddaa ho kar
KHusha-anjam uTThe bhi to mahrum-e-dua ho kar
watan ko chhoD kar jis sar-e-zamin ko main ne izzat di
wahi ab KHun ki pyasi hui hai karbala ho kar
batao aise bande par hansi aae ki ghaiz aae
dua mange musibat mein jo qasdan mubtala ho kar
khula aaKHir fareb-e-mai chala jab dard ka saghar
bandha zor-e-KHumar andesha-e-roz-e-jaza ho kar
nigah-e-'yas' hi goya dobara zindagi pai
jo chaunka KHwab-e-ghaflat ke maze se aashna ho kar
Source: Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 252) Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi Publication : Farib Book Depot (P) Ltd (2005) Edition : 2005
Leave a comment