Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Daood Mohsin

  • Ghazal


kya batate hain ishaaraat tumhein kya malum


kyā batāte haiñ ishārāt tumheñ kyā ma.alūm
kitne mashkūk haiñ hālāt tumheñ kyā ma.alūm

ye ulajhte hue jazbāt tumheñ kyā ma.alūm
haiñ yahī bā.is-e-āfāt tumheñ kyā ma.alūm

ek āñgan ko faqat apne sajāne ke liye
kitnī jhīleñ haiñ muhimmāt tumheñ kyā ma.alūm

raaz hastī kā hai kyā maqsad-e-hastī kyā hai
hal talab haiñ ye savālāt tumheñ kyā ma.alūm

ik khanaktī huī miTTī ho jilā baḳhshī hai
kitnī pyārī hai ye sauġhāt tumheñ kyā ma.alūm

din guzartā hai kisī aur bahāne se magar
kaise kaTtī hai mirī raat tumheñ kyā ma.alūm

bech kar saarā asāsa karo shādī 'mohsin'
yuuñ hī aatī nahīñ bārāt tumheñ kyā ma.alūm

kya batate hain ishaaraat tumhein kya malum
kitne mashkuk hain haalat tumhein kya malum

ye ulajhte hue jazbaat tumhein kya malum
hain yahi bais-e-afat tumhein kya malum

ek aangan ko faqat apne sajaane ke liye
kitni jhilen hain muhimmat tumhein kya malum

raaz hasti ka hai kya maqsad-e-hasti kya hai
hal talab hain ye sawalat tumhein kya malum

ek khanakti hui miTTi ho jila baKHshi hai
kitni pyari hai ye saughat tumhein kya malum

din guzarta hai kisi aur bahane se magar
kaise kaTti hai meri raat tumhein kya malum

bech kar sara asasa karo shadi 'mohsin'
yun hi aati nahin baraat tumhein kya malum


Leave a comment

+