Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Daood Mohsin

  • Ghazal


maine kaha ki dil mein to arman hain bahut


maiñ ne kahā ki dil meñ to armān haiñ bahut
us ne kahā ki aap to nādān haiñ bahut

maiñ ne kahā ki mujh ko hai jannat kī aarzū
us ne kahā ki vāqif-e-īmān haiñ bahut

maiñ ne kahā ki mahkā huā ik gulāb huuñ
us ne kahā zamīñ pe gulistān haiñ bahut

maiñ ne kahā ki merī panāhoñ meñ aa.iye
us ne kahā ki mere nigahbān haiñ bahut

maiñ ne kahā ki ek murassā ġhazal huuñ maiñ
us ne kahā ki aise to dīvān haiñ bahut

maiñ ne kahā ki tark-e-vafā se huuñ sharmsār
us ne kahā ki ham bhī pashemān haiñ bahut

maiñ ne kahā ki rakkhegā 'mohsin' adab kī laaj
us ne kahā ki vaise to imkān haiñ bahut

main ne kaha ki dil mein to arman hain bahut
us ne kaha ki aap to nadan hain bahut

main ne kaha ki mujh ko hai jannat ki aarzu
us ne kaha ki waqif-e-iman hain bahut

main ne kaha ki mahka hua ek gulab hun
us ne kaha zamin pe gulistan hain bahut

main ne kaha ki meri panahon mein aaiye
us ne kaha ki mere nigahban hain bahut

main ne kaha ki ek murassa ghazal hun main
us ne kaha ki aise to diwan hain bahut

main ne kaha ki tark-e-wafa se hun sharmsar
us ne kaha ki hum bhi pasheman hain bahut

main ne kaha ki rakkhega 'mohsin' adab ki laj
us ne kaha ki waise to imkan hain bahut


Leave a comment

+