Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Daood Mohsin

  • Ghazal


tuKHm-e-nafrat bo raha hai aadmi


tuḳhm-e-nafrat bo rahā hai aadmī
ādamiyat kho rahā hai aadmī

zindagī kā naam hai jehd-e-mudām
so rahā hai so rahā hai aadmī

āgahī hai shart jiine ke liye
phir bhī ġhāfil ho rahā hai aadmī

chal sakā na raah par aslāf kī
naqsh-e-pā ab kho rahā hai aadmī

kāshif-e-zāt-e-ḳhudā thā sar-basar
ab nahīñ hai jo rahā hai aadmī

apne hī a.amāl par pachhtā ke ab
ro rahā hai ro rahā hai aadmī

qand-guftārī ai 'mohsin' ab kahāñ
zahr-āsā ho rahā hai aadmī

tuKHm-e-nafrat bo raha hai aadmi
aadamiyat kho raha hai aadmi

zindagi ka nam hai jehd-e-mudam
so raha hai so raha hai aadmi

aagahi hai shart jine ke liye
phir bhi ghafil ho raha hai aadmi

chal saka na rah par aslaf ki
naqsh-e-pa ab kho raha hai aadmi

kashif-e-zat-e-KHuda tha sar-basar
ab nahin hai jo raha hai aadmi

apne hi aamal par pachhta ke ab
ro raha hai ro raha hai aadmi

qand-guftari ai 'mohsin' ab kahan
zahr-asa ho raha hai aadmi


Leave a comment

+