bilā-javāz nahīñ hai falak se jañg mirī
aTak ga.ī hai sitāre meñ ik patañg mirī
phir ek roz mire paas aa kar us ne kahā
ye oḌhnī zarā qaus-e-quzah se rañg mirī
jo kā.enāt kināre se jā ke mil jaa.e
vahī farāġh-talab hai zamīn tañg mirī
maiñ chīḳhte hue sahrā meñ duur tak bhāgā
na jaane ret kahāñ le ga.ī umañg mirī
fanā kī surḳh dopahroñ meñ raqs jaarī thā
rageñ nichoḌ rahe the rabāb-o-chañg mirī
lahū kī buuñd girī raushnī kā phuul khilā
phir us ke ba.ad koī aur thī tarañg mirī
bila-jawaz nahin hai falak se jang meri
aTak gai hai sitare mein ek patang meri
phir ek roz mere pas aa kar us ne kaha
ye oDhni zara qaus-e-quzah se rang meri
jo kaenat kinare se ja ke mil jae
wahi faragh-talab hai zamin tang meri
main chiKHte hue sahra mein dur tak bhaga
na jaane ret kahan le gai umang meri
fana ki surKH dopahron mein raqs jari tha
ragen nichoD rahe the rabab-o-chang meri
lahu ki bund giri raushni ka phul khila
phir us ke baad koi aur thi tarang meri
Leave a comment