Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Daniyal Tareer

  • Ghazal


pani ke shishon mein rakkhi jati hai


paanī ke shīshoñ meñ rakkhī jaatī hai
sundartā jhīloñ meñ rakkhī jaatī hai

chhūne ko baḌh jaatī hai vo mom badan
aag kahāñ poroñ meñ rakkhī jaatī hai

chāñd tire māthe se ugtā hai chandā
raat mirī āñkhoñ meñ rakkhī jaatī hai

hāthoñ meñ rekhā.eñ piile mausam kī
sabz parī ḳhvāboñ meñ rakkhī jaatī hai

chhū letī hai jo tere nāzuk paañv
vo miTTī gamloñ meñ rakkhī jaatī hai

rañg judā karne ke liye chashm-o-lab ke
qaus-e-quzah andhoñ meñ rakkhī jaatī hai

aise bhī ārā.ish hotī hai ghar kī
tanhā.ī kamroñ meñ rakkhī jaatī hai

pani ke shishon mein rakkhi jati hai
sundarta jhilon mein rakkhi jati hai

chhune ko baDh jati hai wo mom badan
aag kahan poron mein rakkhi jati hai

chand tere mathe se ugta hai chanda
raat meri aankhon mein rakkhi jati hai

hathon mein rekhaen pile mausam ki
sabz pari KHwabon mein rakkhi jati hai

chhu leti hai jo tere nazuk panw
wo miTTi gamlon mein rakkhi jati hai

rang juda karne ke liye chashm-o-lab ke
qaus-e-quzah andhon mein rakkhi jati hai

aise bhi aaraish hoti hai ghar ki
tanhai kamron mein rakkhi jati hai


Leave a comment

+