Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Daniyal Tareer

  • Ghazal


gaya ki sail-e-rawan ka bahaw aisa tha


gayā ki sail-e-ravāñ kā bahāv aisā thā
vo ek ḳhvāb jo kāġhaz kī naav aisā thā

kisī ko bhī na thā āsān saañs kā lenā
mirī zamīñ pe havā kā dabāv aisā thā

lahū kī dhaar salāmat rahī na saañs kā taar
mujhe jo kaaT gayā vo kaTāv aisā thā

vo TimTimātā to us kī ziyā bhī kam paḌtī
kisī diye se lahū kā lagāv aisā thā

vo ek thā jo mujhe chār-sū dikhā.ī diyā
maiñ jañg haar gayā huuñ ki daav aisā thā

mujhe to laaj ke ujle libās meñ vo badan
gulāb barf meñ jaise chhupāo aisā thā

bane haiñ naag mire ban meñ peḌ jitne the
lagī hai aag sabā kā subhāv aisā thā

gaya ki sail-e-rawan ka bahaw aisa tha
wo ek KHwab jo kaghaz ki naw aisa tha

kisi ko bhi na tha aasan sans ka lena
meri zamin pe hawa ka dabaw aisa tha

lahu ki dhaar salamat rahi na sans ka tar
mujhe jo kaT gaya wo kaTaw aisa tha

wo TimTimata to us ki ziya bhi kam paDti
kisi diye se lahu ka lagaw aisa tha

wo ek tha jo mujhe chaar-su dikhai diya
main jang haar gaya hun ki daw aisa tha

mujhe to laj ke ujle libas mein wo badan
gulab barf mein jaise chhupao aisa tha

bane hain nag mere ban mein peD jitne the
lagi hai aag saba ka subhaw aisa tha


Leave a comment

+