ġhazab kī dhuum shabistān-e-rozgār meñ hai
kashish balā kī tamāshā-e-nāgavār meñ hai
dikhā.ī aaj hī āñkhoñ ne sūrat-e-fardā
ḳhizāñ kī sair bhī hañgāma-e-bahār meñ hai
ġhubār ban ke lipaTtī hai dāman-e-dil se
miTe pe bhī vahī dil-bastagī bahār meñ hai
duā-e-shauq kujā ek haath hai dil par
aur ek haath garebān-e-tār-tār meñ hai
hanūz gosh-bar-āvāz ġhair hai koī
umīd-vār-e-azal ab tak intizār meñ hai
qasam hai vāda-e-sabr-āzmā-e-jānāñ kī
ki lazzat-e-abadī hai to intizār meñ hai
davā meñ aur duā meñ to ab asar ma.alūm
bas ik umīd-e-asar zabt-e-nāgavār meñ hai
chale-chalo dil-e-dīvāna ke ishāre par
muhāl-o-mumkin to sab us ke iḳhtiyār meñ hai
ghazab ki dhum shabistan-e-rozgar mein hai
kashish bala ki tamasha-e-nagawar mein hai
dikhai aaj hi aankhon ne surat-e-farda
KHizan ki sair bhi hangama-e-bahaar mein hai
ghubar ban ke lipaTti hai daman-e-dil se
miTe pe bhi wahi dil-bastagi bahaar mein hai
dua-e-shauq kuja ek hath hai dil par
aur ek hath gareban-e-tar-tar mein hai
hanuz gosh-bar-awaz ghair hai koi
umid-war-e-azal ab tak intizar mein hai
qasam hai wada-e-sabr-azma-e-jaanan ki
ki lazzat-e-abadi hai to intizar mein hai
dawa mein aur dua mein to ab asar malum
bas ek umid-e-asar zabt-e-nagawar mein hai
chale-chalo dil-e-diwana ke ishaare par
muhaal-o-mumkin to sab us ke iKHtiyar mein hai
Source: Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 293) Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005) Edition : 2005
Leave a comment