Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Danish Farahi

  • Ghazal


na wo taeron ka jamghaT na wo shaKٓH-e-ashiyana


na vo tā.eroñ kā jamghaT na vo shāKٓH-e-āshiyāna
tum ise ḳhizāñ kahoge ki bahār kā zamāna

maiñ vafāoñ kā huuñ paikar mirā jazb-e-muḳhlisāna
mujhe aazmā le hamdam jo tū chāhe āzmānā

tū mujhe tabāh kar de tū mirā nishāñ miTā de
na karūñgā maiñ gavārā magar apnā sar jhukānā

jo use koī sunegā to bhalā yaqīñ karegā
ye janāb-e-shaiḳh hamdam ye dar-e-sharāb-ḳhāna

ye atā-e-ishq hī hai ki banā huuñ maiñ ġhazal-ḳhvāñ
na thā is ke pahle 'dānish' mirā zauq shā.irāna

na wo taeron ka jamghaT na wo shaKٓH-e-ashiyana
tum ise KHizan kahoge ki bahaar ka zamana

main wafaon ka hun paikar mera jazb-e-muKHlisana
mujhe aazma le hamdam jo tu chahe aazmana

tu mujhe tabah kar de tu mera nishan miTa de
na karunga main gawara magar apna sar jhukana

jo use koi sunega to bhala yaqin karega
ye janab-e-shaiKH hamdam ye dar-e-sharab-KHana

ye ata-e-ishq hi hai ki bana hun main ghazal-KHwan
na tha is ke pahle 'danish' mera zauq shairana


Source: Book : Danish Kada (Pg. 55) Author : Danish Farahi Publication : Riyaz Ahmed Farahi, Ramleela Maidan, Saraimeer Azamgarh (2015) Edition : 2015

Leave a comment

+