Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Danish Farahi

  • Ghazal


dua hamari kabhi ba-asar nahin hoti


duā hamārī kabhī bā-asar nahīñ hotī
tumhārī ham pe karam kī nazar nahīñ hotī

maiñ kyā batā.ūñ tire ġham meñ kyā guzartī hai
vo kaun lamha hai jab aañkh tar nahīñ hotī

ilāj-e-dard-e-mohabbat jo ho to kyuuñ kar ho
ilāhī koī davā kārgar nahīñ hotī

tire ḳhayāl meñ rahtā huuñ maiñ jo gum ai dost
mujhe zamāne kī kuchh bhī ḳhabar nahīñ hotī

ujālā kaise nazar aa.egā kahīñ tum ko
shab-e-firāq kī 'dānish' sahar nahīñ hotī

dua hamari kabhi ba-asar nahin hoti
tumhaari hum pe karam ki nazar nahin hoti

main kya bataun tere gham mein kya guzarti hai
wo kaun lamha hai jab aankh tar nahin hoti

ilaj-e-dard-e-mohabbat jo ho to kyun kar ho
ilahi koi dawa kargar nahin hoti

tere KHayal mein rahta hun main jo gum ai dost
mujhe zamane ki kuchh bhi KHabar nahin hoti

ujala kaise nazar aaega kahin tum ko
shab-e-firaq ki 'danish' sahar nahin hoti


Source: Book : Danish Kada (Pg. 59) Author : Danish Farahi Publication : Riyaz Ahmed Farahi, Ramleela Maidan, Saraimeer Azamgarh (2015) Edition : 2015

Leave a comment

+