Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Danish Ejaz

  • Ghazal


zist tujh bin guzar dunga main


ziist tujh bin guzār dūñgā maiñ
ḳhvāhishoñ ko bhī maar dūñgā maiñ

yuuñ bhī ye zindagī to faanī hai
terā sadqa utaar dūñgā maiñ

jāntā huuñ sunī na jā.egī
par sadā baar baar dūñgā maiñ

terī rusvā.ī kā na Dar ho agar
sar-e-mahshar pukār dūñgā maiñ

saarī duniyā kī ne.amateñ 'dānish'
tirī muskāñ pe vaar dūñgā maiñ

zist tujh bin guzar dunga main
KHwahishon ko bhi mar dunga main

yun bhi ye zindagi to fani hai
tera sadqa utar dunga main

jaanta hun suni na jaegi
par sada bar bar dunga main

teri ruswai ka na Dar ho agar
sar-e-mahshar pukar dunga main

sari duniya ki neamaten 'danish'
teri muskan pe war dunga main


Leave a comment

+