zarre zarre meñ mahak pyaar kī Daalī jaa.e
bū ta.assub kī har ik dil se nikālī jaa.e
apne dushman ko bhī ḳhud baḌh ke lagā lo siine
baat bigḌī huī is tarah banā lī jaa.e
aap ḳhush ho ke agar ham ko ijāzat de deñ
aap ke naam se ik bazm sajā lī jaa.e
ho ke majbūr ye bachchoñ ko sabaq denā hai
ab qalam chhoḌ ke talvār uThā lī jaa.e
soch kar arz-e-talab vaqt ke sultān se kar
māñgne vaale tirī baat na ḳhālī jaa.e
zarre zarre mein mahak pyar ki Dali jae
bu tassub ki har ek dil se nikali jae
apne dushman ko bhi KHud baDh ke laga lo sine
baat bigDi hui is tarah bana li jae
aap KHush ho ke agar hum ko ijazat de den
aap ke nam se ek bazm saja li jae
ho ke majbur ye bachchon ko sabaq dena hai
ab qalam chhoD ke talwar uTha li jae
soch kar arz-e-talab waqt ke sultan se kar
mangne wale teri baat na KHali jae
Leave a comment