zindagī kar ga.ī tūfāñ ke havāle mujh ko
ai ajal kashmakash-e-ġham se chhuḌā le mujh ko
kuchh to le kaam taġhāful se vafā ke paikar
ye tirā pyaar kahīñ maar na Daale mujh ko
vaah rī qismat ki kahāñ manzil-e-maqsūd milī
jab maza dene lage paañv ke chhāle mujh ko
āḳhirī vaqt talak saath andheroñ ne diyā
raas aate nahīñ duniyā ke ujāle mujh ko
koī bhī mohsin o rahbar hī nahīñ hai merā
yuuñ to 'dānish' haiñ bahut chāhne vaale mujh ko
zindagi kar gai tufan ke hawale mujh ko
ai ajal kashmakash-e-gham se chhuDa le mujh ko
kuchh to le kaam taghaful se wafa ke paikar
ye tera pyar kahin mar na Dale mujh ko
wah ri qismat ki kahan manzil-e-maqsud mili
jab maza dene lage panw ke chhaale mujh ko
aaKHiri waqt talak sath andheron ne diya
ras aate nahin duniya ke ujale mujh ko
koi bhi mohsin o rahbar hi nahin hai mera
yun to 'danish' hain bahut chahne wale mujh ko
Leave a comment