Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dakhlan Bhopali

  • Ghazal


ghazal kahen to wahi dastan niklegi


ġhazal kaheñ to vahī dāstān niklegī
har ek sher meñ āh-o-fuġhāñ niklegī

safar kī mushkileñ rone kā fā.eda kyā hai
ki jaate jaate hī merī thakān niklegī

jabīñ ke nīche do kashtī meñ bāñdh lī hai nadī
zarūr legī ye ik din ufaan niklegī

ye saare tanz ye ta.ane ye rishte naate sab
kahāñ chhupeñge jo merī zabān niklegī

vo jis ne ḳhud pe rivāyat kā rakh liyā hai qafas
vo ek laḌkī merā āsmān niklegī

maiñ chand lamhe agar ziist se haTā duuñ to
ye merī zindagī bas ḳhāk-dān niklegī

ye zabt sabr tabassum hue haiñ chaak sabhī
maiñ saḳht jaan huuñ lekin ye jaan niklegī

ghazal kahen to wahi dastan niklegi
har ek sher mein aah-o-fughan niklegi

safar ki mushkilen rone ka faeda kya hai
ki jate jate hi meri thakan niklegi

jabin ke niche do kashti mein bandh li hai nadi
zarur legi ye ek din ufan niklegi

ye sare tanz ye tane ye rishte nate sab
kahan chhupenge jo meri zaban niklegi

wo jis ne KHud pe riwayat ka rakh liya hai qafas
wo ek laDki mera aasman niklegi

main chand lamhe agar zist se haTa dun to
ye meri zindagi bas KHak-dan niklegi

ye zabt sabr tabassum hue hain chaak sabhi
main saKHt jaan hun lekin ye jaan niklegi


Leave a comment

+