Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dakhlan Bhopali

  • Ghazal


tum se milna bhi nahin tum se bichhaDna bhi nahin


tum se milnā bhī nahīñ tum se bichhaḌnā bhī nahīñ
vaqt ke jaise magar ham ko badalnā bhī nahīñ

ishq ne phir hameñ ik baar hai baḳhshā sahrā
dariyā milnā bhī nahīñ abr barasnā bhī nahīñ

baḌī mushkil se chhupāte haiñ zamāne se tumheñ
zaḳhm risnā bhī hai aur aañkh ko galnā bhī nahīñ

vo kahīñ duur bahut duur gayā hai mujh se
us ko aanā bhī nahīñ ham ko machalnā bhī nahīñ

sar meñ baiThī hai anā siine meñ chubhtī bāteñ
gale milte haiñ magar dil kabhī milnā bhī nahīñ

ḳhvāb pairoñ tale shānoñ pe hai zimme-dārī
ham ko uḌnā bhī hai pañkhoñ ko nikalnā bhī nahīñ

zabt ke jism meñ rahne do mirī zaat ko tum
maiñ jo bigḌā to maiñ duniyā se sambhalnā bhī nahīñ

tum se milna bhi nahin tum se bichhaDna bhi nahin
waqt ke jaise magar hum ko badalna bhi nahin

ishq ne phir hamein ek bar hai baKHsha sahra
dariya milna bhi nahin abr barasna bhi nahin

baDi mushkil se chhupate hain zamane se tumhein
zaKHm risna bhi hai aur aankh ko galna bhi nahin

wo kahin dur bahut dur gaya hai mujh se
us ko aana bhi nahin hum ko machalna bhi nahin

sar mein baiThi hai ana sine mein chubhti baaten
gale milte hain magar dil kabhi milna bhi nahin

KHwab pairon tale shanon pe hai zimme-dari
hum ko uDna bhi hai pankhon ko nikalna bhi nahin

zabt ke jism mein rahne do meri zat ko tum
main jo bigDa to main duniya se sambhalna bhi nahin


Leave a comment

+