Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yagana Changezi

  • Ghazal


mahrum-e-shahadat ki hai kuchh tujhko KHabar bhi


mahrūm-e-shahādat kī hai kuchh tujh ko ḳhabar bhī
o dushman-e-jāñ dekh zarā phir ke idhar bhī

hai jaan ke saath aur ik īmān kā Dar bhī
vo shoḳh kahīñ dekh na le muḌ ke idhar bhī

vo ham se nahīñ milte ham un se nahīñ milte
ik nāz-e-dil-āvez idhar bhī hai udhar bhī

ThanDā ho kalejā mirā is āh-e-sahar se
jab dil kī tarah jalne lage ġhair kā ghar bhī

allāh-rī be-tābī-e-dil vasl kī shab ko
kuchh kashmakash-e-shauq bhī kuchh sub.h kā Dar bhī

añgḌā.iyāñ le le ke uThe sāhab-e-mahfil
kuchh niiñd bhī āñkhoñ meñ hai kuchh mai kā asar bhī

ham māñgte hī kyuuñ jo yahī jānte saaqī
phir jā.egī qismat kī tarah terī nazar bhī

ham haath se dil thāme hue duur khaḌe haiñ
dekheñ to koī letā hai kuchh is kā asar bhī

ai jazba-e-dil dekh bahut tū ne kamī kī
haañ aahoñ meñ ab chāhiye thoḌā sā asar bhī

ab chup raho jo dil pe guzarnī thī vo guzrī
aisā na ho phaT jaa.e kahīñ zaḳhm-e-jigar bhī

mahrūm-e-shahādat tujhe kuchh sharm na aa.ī
kam-baḳht galā kaaT ke jaldī kahīñ mar bhī

bhārī hai musāfir pe bahut gor kī manzil
sunte haiñ ki is raah meñ hai jaan kā Dar bhī

vo kashmakash-e-ġham hai ki maiñ kah nahīñ saktā
āġhāz kā afsos aur anjām kā Dar bhī

khol āñkheñ zarā mast hai kyā sāġhar jam se
hai gardish-e-ayyām kī kuchh tujh ko ḳhabar bhī

lailī-e-shab-e-hijr ne bikhrā diye gesū
mātam meñ mire chāk-e-garebāñ hai sahar bhī

kis shaan se aatī hai mirī shām-e-musībat
vo dekho jilau meñ hai qayāmat kī sahar bhī

bujhtī huī ik sham.a huuñ kyā dam kā bharosā
dushman hai mirī jaan kī ab āh-e-sahar bhī

dekhe koī jaatī huī duniyā kā tamāshā
bīmār bhī sar dhuntā hai aur sham-e-sahar bhī

sahrā kī havā khīñche liye jaatī hai mujh ko
kahtā hai vatan dekh zarā phir ke idhar bhī

haañ kaT ga.ī shāyad tire dīvāne kī beḌī
pichhle-pahar aa.ī thī kuchh āvāz idhar bhī

kyā va.ada-e-dīdār ko sach jānte ho 'yās'
lo farz karo aa.ī qayāmat kī sahar bhī

allāh mubārak kare piirī kī sahar 'yās'
marne kī tamannā thī to le ab kahīñ mar bhī

mahrum-e-shahadat ki hai kuchh tujh ko KHabar bhi
o dushman-e-jaan dekh zara phir ke idhar bhi

hai jaan ke sath aur ek iman ka Dar bhi
wo shoKH kahin dekh na le muD ke idhar bhi

wo hum se nahin milte hum un se nahin milte
ek naz-e-dil-awez idhar bhi hai udhar bhi

ThanDa ho kaleja mera is aah-e-sahar se
jab dil ki tarah jalne lage ghair ka ghar bhi

allah-ri be-tabi-e-dil wasl ki shab ko
kuchh kashmakash-e-shauq bhi kuchh subh ka Dar bhi

angDaiyan le le ke uThe sahab-e-mahfil
kuchh nind bhi aankhon mein hai kuchh mai ka asar bhi

hum mangte hi kyun jo yahi jaante saqi
phir jaegi qismat ki tarah teri nazar bhi

hum hath se dil thame hue dur khaDe hain
dekhen to koi leta hai kuchh is ka asar bhi

ai jazba-e-dil dekh bahut tu ne kami ki
han aahon mein ab chahiye thoDa sa asar bhi

ab chup raho jo dil pe guzarni thi wo guzri
aisa na ho phaT jae kahin zaKHm-e-jigar bhi

mahrum-e-shahadat tujhe kuchh sharm na aai
kam-baKHt gala kaT ke jaldi kahin mar bhi

bhaari hai musafir pe bahut gor ki manzil
sunte hain ki is rah mein hai jaan ka Dar bhi

wo kashmakash-e-gham hai ki main kah nahin sakta
aaghaz ka afsos aur anjam ka Dar bhi

khol aankhen zara mast hai kya saghar jam se
hai gardish-e-ayyam ki kuchh tujh ko KHabar bhi

laili-e-shab-e-hijr ne bikhra diye gesu
matam mein mere chaak-e-gareban hai sahar bhi

kis shan se aati hai meri sham-e-musibat
wo dekho jilau mein hai qayamat ki sahar bhi

bujhti hui ek shama hun kya dam ka bharosa
dushman hai meri jaan ki ab aah-e-sahar bhi

dekhe koi jati hui duniya ka tamasha
bimar bhi sar dhunta hai aur sham-e-sahar bhi

sahra ki hawa khinche liye jati hai mujh ko
kahta hai watan dekh zara phir ke idhar bhi

han kaT gai shayad tere diwane ki beDi
pichhle-pahar aai thi kuchh aawaz idhar bhi

kya wada-e-didar ko sach jaante ho 'yas'
lo farz karo aai qayamat ki sahar bhi

allah mubarak kare piri ki sahar 'yas'
marne ki tamanna thi to le ab kahin mar bhi


Source: Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 168) Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005) Edition : 2005

Leave a comment

+