lutf vo ishq meñ paa.e haiñ ki jī jāntā hai
rañj bhī aise uThā.e haiñ ki jī jāntā hai
jo zamāne ke sitam haiñ vo zamāna jaane
tū ne dil itne satā.e haiñ ki jī jāntā hai
tum nahīñ jānte ab tak ye tumhāre andāz
vo mire dil meñ samā.e haiñ ki jī jāntā hai
inhīñ qadmoñ ne tumhāre inhīñ qadmoñ kī qasam
ḳhaak meñ itne milā.e haiñ ki jī jāntā hai
dostī meñ tirī dar-parda hamāre dushman
is qadar apne parā.e haiñ ki jī jāntā hai
lutf wo ishq mein pae hain ki ji jaanta hai
ranj bhi aise uThae hain ki ji jaanta hai
jo zamane ke sitam hain wo zamana jaane
tu ne dil itne satae hain ki ji jaanta hai
tum nahin jaante ab tak ye tumhaare andaz
wo mere dil mein samae hain ki ji jaanta hai
inhin qadmon ne tumhaare inhin qadmon ki qasam
KHak mein itne milae hain ki ji jaanta hai
dosti mein teri dar-parda hamare dushman
is qadar apne parae hain ki ji jaanta hai
Videos
This video is playing from YouTube
Videos
This video is playing from YouTube
Farida Khanum
Source: Book : Junoon (Pg. 39) Author : Naseem Muqri Publication : Naseem Muqri (1990) Edition : 1990
https://www.instagram.com/p/CQV2AcTnCb_/?utm_medium=copy_link
Leave a comment