zamāne par na sahī dil pe iḳhtiyār rahe
dikhā vo zor ki duniyā meñ yādgār rahe
kahāñ talak dil-e-ġhamnāk parda-dār rahe
zabān-e-hāl pe jab kuchh na iḳhtiyār rahe
nizām-e-dahr ne kyā kyā na karvaTeñ badlīñ
magar ham ek hī pahlū se be-qarār rahe
hañsī meñ laġhzish-e-mastāna uḌ ga.ī vallāh
to be-gunāhoñ se achchhe gunāhgār rahe
ubhārtī hai havas tauba-e-rihā.ī kī
ki dil ke saath zabāñ kyuuñ gunāhgār rahe
dikhā duuñ chiir ke dil dard-e-dil kahūñ kab tak
zabāñ pe kyuuñ ye taqāzā-e-nāgavār rahe
taḌap taḌap ke uThā.ūñgā zindagī ke maze
ḳhudā na-karda mujhe dil pe iḳhtiyār rahe
sazā-e-ishq ba-qadr-e-gunāh nā-mumkin
yahī bahut hai ki barham mizāj-e-yār rahe
zamāna us ke sivā aur kyā vafā kartā
chaman ujaḌ gayā kāñTe gale kā baar rahe
ḳhizāñ ke dam se miTā ḳhūb-o-zisht kā jhagḌā
chalo ye ḳhvāb huā gal rahe na ḳhaar rahe
javāb de ke na toḌo kisī ġharīb kā dil
balā se koī sarāpā umīd-vār rahe
maza to jab hai 'yagānā' ki ye dil-e-ḳhud-bīñ
ḳhudī ke nashe meñ be-gāna-e-ḳhumār rahe
'yagānā' haal to dekho zamāna-sāzoñ kā
havā meñ jaise bagūlā ḳharāb-o-ḳhvār rahe
zamane par na sahi dil pe iKHtiyar rahe
dikha wo zor ki duniya mein yaadgar rahe
kahan talak dil-e-ghamnak parda-dar rahe
zaban-e-haal pe jab kuchh na iKHtiyar rahe
nizam-e-dahr ne kya kya na karwaTen badlin
magar hum ek hi pahlu se be-qarar rahe
hansi mein laghzish-e-mastana uD gai wallah
to be-gunahon se achchhe gunahgar rahe
ubhaarti hai hawas tauba-e-rihai ki
ki dil ke sath zaban kyun gunahgar rahe
dikha dun chir ke dil dard-e-dil kahun kab tak
zaban pe kyun ye taqaza-e-nagawar rahe
taDap taDap ke uThaunga zindagi ke maze
KHuda na-karda mujhe dil pe iKHtiyar rahe
saza-e-ishq ba-qadr-e-gunah na-mumkin
yahi bahut hai ki barham mizaj-e-yar rahe
zamana us ke siwa aur kya wafa karta
chaman ujaD gaya kanTe gale ka bar rahe
KHizan ke dam se miTa KHub-o-zisht ka jhagDa
chalo ye KHwab hua gal rahe na KHar rahe
jawab de ke na toDo kisi gharib ka dil
bala se koi sarapa umid-war rahe
maza to jab hai 'yagana' ki ye dil-e-KHud-bin
KHudi ke nashe mein be-gana-e-KHumar rahe
'yagana' haal to dekho zamana-sazon ka
hawa mein jaise bagula KHarab-o-KHwar rahe
Source: Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 317) Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005) Edition : 2005
Leave a comment