Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dagh Dehlvi

  • Ghazal


phire rah se wo yahan aate aate


phire raah se vo yahāñ aate aate
ajal mar rahī tū kahāñ aate aate

na jaanā ki duniyā se jaatā hai koī
bahut der kī mehrbāñ aate aate

sunā hai ki aatā hai sar nāma-bar kā
kahāñ rah gayā armuġhāñ aate aate

yaqīñ hai ki ho jaa.e āḳhir ko sachchī
mire muñh meñ terī zabāñ aate aate

sunāne ke qābil jo thī baat un ko
vahī rah ga.ī darmiyāñ aate aate

mujhe yaad karne se ye mudda.ā thā
nikal jaa.e dam hichkiyāñ aate aate

abhī sin hī kyā hai jo bebākiyāñ hoñ
unheñ ā.eñgī shoḳhiyāñ aate aate

kalejā mire muñh ko aa.egā ik din
yūñhī lab par āh-o-fuġhāñ aate aate

chale aate haiñ dil meñ armān lākhoñ
makāñ bhar gayā mehmāñ aate aate

natīja na niklā thake sab payāmī
vahāñ jaate jaate yahāñ aate aate

tumhārā hī mushtāq-e-dīdār hogā
gayā jaan se ik javāñ aate aate

tirī aañkh phirte hī kaisā phirā hai
mirī raah par āsmāñ aate aate

paḌā hai baḌā pech phir dil-lagī meñ
tabī.at rukī hai jahāñ aate aate

mire āshiyāñ ke to the chaar tinke
chaman uḌ gayā āñdhiyāñ aate aate

kisī ne kuchh un ko ubhārā to hotā
na aate na aate yahāñ aate aate

qayāmat bhī aatī thī hamrāh us ke
magar rah ga.ī ham-ināñ aate aate

banā hai hamesha ye dil baaġh o sahrā
bahār aate aate ḳhizāñ aate aate

nahīñ khel ai 'dāġh' yāroñ se kah do
ki aatī hai urdu zabāñ aate aate

phire rah se wo yahan aate aate
ajal mar rahi tu kahan aate aate

na jaana ki duniya se jata hai koi
bahut der ki mehrban aate aate

suna hai ki aata hai sar nama-bar ka
kahan rah gaya armughan aate aate

yaqin hai ki ho jae aaKHir ko sachchi
mere munh mein teri zaban aate aate

sunane ke qabil jo thi baat un ko
wahi rah gai darmiyan aate aate

mujhe yaad karne se ye muddaa tha
nikal jae dam hichkiyan aate aate

abhi sin hi kya hai jo bebakiyan hon
unhen aaengi shoKHiyan aate aate

kaleja mere munh ko aaega ek din
yunhi lab par aah-o-fughan aate aate

chale aate hain dil mein arman lakhon
makan bhar gaya mehman aate aate

natija na nikla thake sab payami
wahan jate jate yahan aate aate

tumhaara hi mushtaq-e-didar hoga
gaya jaan se ek jawan aate aate

teri aankh phirte hi kaisa phira hai
meri rah par aasman aate aate

paDa hai baDa pech phir dil-lagi mein
tabiat ruki hai jahan aate aate

mere aashiyan ke to the chaar tinke
chaman uD gaya aandhiyan aate aate

kisi ne kuchh un ko ubhaara to hota
na aate na aate yahan aate aate

qayamat bhi aati thi hamrah us ke
magar rah gai ham-inan aate aate

bana hai hamesha ye dil bagh o sahra
bahaar aate aate KHizan aate aate

nahin khel ai 'dagh' yaron se kah do
ki aati hai urdu zaban aate aate

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Taj Multani RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 phire rah se wo yahan aate aate Nomaan Shauque

Leave a comment

+